Dil Me Chubhti Hai | दिल में चुभती है

दिल में चुभती है…

दिल में चुभती है, वो बचपन की कहानी, मौला
दिल में चुभती है, वो बचपन की कहानी, मौला
बोझ लगती है मुझे क्यों ये जवानी, मौला
दिल में चुभती है…

जिस्म मिट्टी से सना, देख, मुकर जाते हैं
जिस्म मिट्टी से सना, देख, मुकर जाते हैं
डाल इन ख़ुश्क, निगाहों में, तू पानी मौला
दिल में चुभती है…

अब तो ये हाल है, मैं दर्द भी, पी जाता हूँ
अब तो ये हाल है, मैं दर्द भी, पी जाता हूँ
जब सताती है, मुझे याद, पुरानी मौला
दिल में चुभती है…

ज़िंदगी ज़ख़्म भरी, मौत से भी, भारी है
ज़िंदगी ज़ख़्म भरी, मौत से भी, भारी है
खींच के जान, जुदा कर, ये बिमारी मौला
दिल में चुभती है…

दे मुझे कोई किरन, ख़ौफ़ है, अँधेरा है
दे मुझे कोई किरन, ख़ौफ़ है, अँधेरा है
गर तू मौजूद है, तो छोड़, निशानी मौला
दिल में चुभती है…

Dil Mein Chubhti Hai…

Dil mein chubhti hai, woh bachpan ki kahani, Maula
Dil mein chubhti hai, woh bachpan ki kahani, Maula
Bojh lagti hai mujhe kyun yeh jawani, Maula
Dil mein chubhti hai…

Jism mitti se sana, dekh, mukar jaate hain
Jism mitti se sana, dekh, mukar jaate hain
Daal in khushk nigaahon mein, tu paani, Maula
Dil mein chubhti hai…

Ab to yeh haal hai, main dard bhi, pee jaata hoon
Ab to yeh haal hai, main dard bhi, pee jaata hoon
Jab sataati hai, mujhe yaad, puraani, Maula
Dil mein chubhti hai…

Zindagi zakhm bhari, maut se bhi, bhaari hai
Zindagi zakhm bhari, maut se bhi, bhaari hai
Kheench ke jaan, juda kar, yeh bimaari, Maula
Dil mein chubhti hai…

De mujhe koi kiran, khauf hai, andhera hai
De mujhe koi kiran, khauf hai, andhera hai
Gar tu maujood hai, to chhod, nishaani, Maula
Dil mein chubhti hai…

✨ Credits
Lyrics & Composition: Kiran Kumar Singh
Vocals: Arshad Khan
Artwork: Srinivas Mohan
Video Editing: Kiran Kumar Singh

🎧 Production
Music Production: Deepanshu Shukla (Jugaadu Studio)
Recording Engineer: Ashish Kumar Kand (Jugaadu Studio)
Mixed & Mastered by: Shyama Agrawal (Jugaadu Studio)

📍 Recorded at Jugaadu Studio, Raipur